Bhaid paen to rah-e-yaar mein gum ho jayen!
Warna kis wastay bay-kaar mein gum ho jayen!
…
Kya karain arz-e-tamanna k tujhe dekhtay he
Lafz pay-ra-ee-ya -e-izhaar mein gum ho jayen
…
Yeh na ho tum bhe kise bheed mein kho jao kahin
Yeh na ho hum kise bazaar mein gum ho jayen!
…
Kis tarah tujh se kahain kitna bhala lagta hai
Tujh ko dekhain teray deedar mein gum ho jayen!
…
Hum teray shauq mein yun khud ko ganwa bethay hain
Jaise bachay kise tehwaar mein gum ho jayen
…
Aisa aashob-e-zamana hai k darr lagta hai
Dil k mazmoon he na ashaar mein gum ho jayen
…
Sheharyaaron k bulaavay bahut aatay hain Faraz!
Yeh na ho aap bhe darbar mein gum ho jayen!